Hello, Mere dimag me bahut pahle se ek sawal h Jo me puchhna Chahta hu par mujhe uska Sahi jawab nhi mil raha…
Sabse pahle aap bataye ki aap Hindi post likhne ke liye Google input tool Ka use karte h ya Hindi Typing(Kruti Dev, Dev lys)
Second agar me kisi Article ko Apne Android phone me voice typing ya typing karke likhta hu to wo rank kyu nhi karte, kya dono text Different hote hai, if yes then dono me kya difference hai, agar me mobile se type karke Article likhta hu to wo hamesa last page par hota hai and search me bhi nhi aata…
Me blog ke liye Article kaise lukhu, Hindi Typing ya Google input tool ya Hinglish… Suggest me…
Last thing, Maine ye notice kaise kiya…
Kuchh Dino se mera PC kharab tha and Maine phone se blogging start kiya par mujhe AdSense Approval nhi Mila waha duplicate account and no values content Ka issue Aaya,
Second, jab me Photoshop par work kar Raha tha to jab Maine Google input tool Ka use kiya to Waha par text ke jagah ? Marking Aaye, but agar me wahi text Google translate me dalkar copy paste kiya to wo work kiya (But only for single font noto sans)…
I’m Very confused and upset me aakhir kis tarah Article likhu Jo aasani se rank ho without any problems…